visal ki sarhadon tak aa kar jamal tera palat gaya hai wo rang tu ne meri nigahon pe jo bikhera palat gaya hai kahan ki zulfen kahan ke baadal siwae tira-nasibon ke meri nazar ne jise pukara wahi andhera palat gaya hai na chhanw karne ko hai wo aanchal na chain lene ko hain wo banhen musafiron ke qarib aa kar har ek basera palat gaya hai mere tasawwur ke raston mein ubhar ke dubi hazar aahat na jaane sham-e-alam se mil kar kahan sawera palat gaya hai mila mohabbat ka rog jis ko 'qatil' kahte hain log jis ko wahi to diwana kar ke teri gali ka phera palat gaya hai