wo is ada se jo aae to kyun bhala na lage hazar bar milo phir bhi aashna na lage kabhi wo khas inayat ki sau guman guzrin kabhi wo tarz-e-taghaful ki mahramana lage wo sidhi-sadi adaen ki bijliyan barsen wo dil-barana murawwat ki aashiqana lage dikhaun dagh-e-mohabbat jo nagawar na ho sunaun qissa-e-furqat agar bura na lage bahut hi sada hai tu aur zamana hai ayyar khuda kare ki tujhe shahr ki hawa na lage bujha na den ye musalsal udasiyan dil ko wo baat kar ki tabiat ko taziyana lage jo ghar ujad gae un ka na ranj kar pyare wo chaara kar ki ye gulshan ujad sa na lage itab-e-ahl-e-jahan sab bhula diye lekin wo zakhm yaad hain ab tak jo ghaebana lage wo rang dil ko diye hain lahu ki gardish ne nazar uthaun to duniya nigar-khana lage ajib khwab dikhate hain na-khuda hum ko gharaz ye hai ki safina kinare ja na lage liye hi jati hai har-dam koi sada 'nasir' ye aur baat suragh-e-nishan-e-pa na lage