visal-o-hijr se wabasta tohmaten bhi gain

visal-o-hijr se wabasta tohmaten bhi gain
wo fasle bhi gae ab wo qurbaten bhi gain

dilon ka haal to ye hai ki rabt hai na gurez
mohabbaten to gain thi adawaten bhi gain

lubha liya hai bahut dil ko rasm-e-duniya ne
sitamgaron se sitam ki shikayaten bhi gain

ghurur-e-kaj-kulahi jin ke dam se qaem tha
wo juraten bhi gain wo jasaraten bhi gain

na ab wo shiddat-e-awargi na wahshat-e-dil
hamare nam ki kuchh aur shohraten bhi gain

dil-e-tabah tha be-nam hasraton ka dayar
so ab to dil se wo be-nam hasraten bhi gain

hue hain jab se barahna zaruraton ke badan
khayal-o-khwab ki pinhan nazakaten bhi gain

hujum-e-sarw-o-saman hai na sail-e-nikhat-o-rang
wo qamaten bhi gain wo qayamaten bhi gain

bhula diye gham-e-duniya ne ishq ke aadab
kisi ke naz uthane ki fursaten bhi gain

karega kaun mata-e-khulus yun arzan
hamare sath hamari sakhwaten bhi gain

na chand mein hai wo chehra na sarw mein hai wo jism
gaya wo shakhs to us ki shabahaten bhi gain

gaya wo daur-e-gham-e-intizar-e-yar 'sahar'
aur apni zat pe danista zahmaten bhi gain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close