nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin khuda to hai pa kahin banda-e-khuda hi nahin bharosa yun to bahut tha magar dua ke liye jo hath hum ne uthaya to wo utha hi nahin har ek shakhs yahan apne-ap mein gum hai kisi se hath milane ka faeda hi nahin lahu-luhan hai jo bhi udhar se aaya hai magar ye main ki jo us rah tak gaya hi nahin dayar-e-khwab hai aao yahin qayam karen yahan se yun bhi nikalne ka rasta hi nahin