wabasta ho gae hain qadam rahguzar ke sath

wabasta ho gae hain qadam rahguzar ke sath
hum chal pade the ek hasin ham-safar ke sath

ek din dhuen ki tarah na bahar nikal de
ham-saya aa basa hai bura mere ghar ke sath

gulchin pe nukta-chin na ho baghban khud
gul shakh se utar rahe hain hunar ke sath

us tez gam shakhs ne manzil ko ja liya
jo har padaw par na ruka rahbar ke sath

dete rahe hisab khade zahidan-e-khushk
bakhshish hui hai rind ki daman-e-tar ke sath

peshe ke e'tibar se wo sang-bar hain
jo muddai khulus ke hain shishagar ke sath

ek khub-ru se ishq mein sauda hua hai tai
dil ko bhi rehn kar diya 'shaukat' nazar ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close