mazlum kisi dast-e-hinai ke nikalte

mazlum kisi dast-e-hinai ke nikalte
jo log irade se gadai ke nikalte

ghazlen meri un par na giran itni guzartin
pahlu jo kahin madh-sarai ke nikalte

sayyaad ko kya jaaniye kya wahm guzarta
ahkaam agar meri rihai ke nikalte

barbaadi-e-dil ka jo meri chhidta fasana
afsane tere dast-e-hinai ke nikalte

mahrumi-e-taqdir ka ehsas na hota
mauqe jo kisi dar pe rasai ke nikalte

main mohr-ba-lab tha yahi achchha hua warna
ilzam mere sar hi burai ke nikalte

ai 'shauq' mera rang-e-ghazal aur hi hota
sadme jo mere dil se judai ke nikalte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close