wada-e-ulfat-o-paiman-e-wafa se tauba

wada-e-ulfat-o-paiman-e-wafa se tauba
tajraba kahta hai us husn-e-ada se tauba

raat tarik hai bechaini badhi jati hai
jis ka ulta ho asar aisi dua se tauba

apna ghar ban gaya maqtal magar hum ahl-e-yaqin
nahin karte hain gham-e-hosh-ruba se tauba

un ki fastai tabiat mein hai qatl-o-ghaarat
kyun karenge wo bhala zulm-o-jafa se tauba

bijli chamke to bahane se lipat jate hain
phir wo kahte hain badi sharm-o-haya se tauba

chashm-e-saqi ki qasam tha ye bahana warna
kahin karte hain mai-o-jam ke pyase tauba

us ne to chir diya ahl-e-chaman ke dil ko
ab ke bal khai hui baad-e-saba se tauba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close