ek daman-e-rangin lahraya masti si faza mein chha hi gai jab sair-e-chaman ko wo nikle phulon ki jabin sharma hi gai ye sehn-e-chaman ye bagh-e-jahan khali to na tha nikhat se magar kuchh daman-e-gul se dur tha main kuchh baad-e-saba katra hi gai ehsas-e-alam aur pas-e-haya us waqt ka aansu sahba hai us chashm-e-hasin ko kya kahiye jab pi na saki chhalka hi gai khud-bin tha mizaj-e-husn magar daman-e-mohabbat chhu hi gaya andaz-e-taghaful kuchh bhi sahi kuchh un ki nazar farma hi gai har shoala-gar-e-ahd-e-zulmat anjam se apne darta hai jab zikr-e-sahar mahfil mein chhida kuchh shama ki lau tharra hi gai is daur mein kitne shaikh-e-haram mai-khane ka rasta puchh gae saqi ki nazar begana sahi kuchh kar-e-jahan samjha hi gai ek aah jo shoala-bar hui aalam mein sharare phail gae ek mauj jo muztar ho ke uthi dariya ka lahu garma hi gai tahzib ke raana paikar se ye bar-e-amanat uth na saka nazura-e-ahd-e-hazir ki nazuk thi kamar bal kha hi gai zahrab-e-zamana pi pi kar jo ahl-e-junun the rah lage shaer ko 'nushur' ek zulf-e-dota gham de na saki uljha hi gai