wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

wada-khilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap
sach to ye hai ki jhuton ke hain baadshah aap

daftar siyah karte hain kyun katib-e-amal
hun maghrib gunahon ka main ru-siyah aap

hum se to dil mein aap ke ab tak na ghar hua
kar lete hain dilon mein ye kis tarah rah aap

ye gah bhi kafsh-khana hai aakhir huzur ka
tashrif yan bhi laya karen gah gah aap

mahshar talak rahega in aankhon ko shauq-e-did
dekhen ki ab dikhate hain ta-chand rah aap

tashbih nam aankhon ki hai sujhna muhaal
sari bayaz karte hain na-haq siyah aap

kuchh husn hi hain afsar-e-khuban nahin huzur
hain mulk-e-an-o-naz ke bhi baadshah aap

aariz abhi hain rup pe khat aane dijiye
kar lijiyega farq-e-safed-o-siyah aap

kyun us ne ku-e-yar se bahar nikale panw
majnun hua hai hath se apne tabah aap

kalima padhe huzur ka dekhe jo samri
rakhte hain aisi sehr ki chashm-o-nigah aap

sab aashiqon ke ek se hote nahin chain
khota khara parakhne ki rakhiye nigah aap

darmandon ka hai kaun ba-juz un ke dast-gir
apne apahijon ko wo lenge nibah aap

mujh ru-siyah ki hai ye dua waqt-e-baz-purs
rakhiyega apne lutf-o-karam par nigah aap

ulfat ka kya yahi hai natija jahan mein
aashiq ko qatl karte hain kyun be-gunah aap

dil de ke bahr-e-fikr mein ho ghota-zan abas
dariya-e-ishq ki nahin paenge thah aap

azm-e-safar to mulk-e-adam ka hai ai 'qalaq'
kuchh apne sath le bhi chale zad-e-rah aap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close