wada us mah-ru ke aane ka ye nasiba siyah-khane ka kah rahi hai nigah-e-duz-dida rukh badalne ko hai zamane ka zarre zarre mein be-hijab hain wo jin ko dawa hai munh chhupane ka hasil-e-umr hai shabab magar ek yahi waqt hai ganwane ka chandni khamushi aur aakhir shab aa ki hai waqt dil lagane ka hai qayamat tere shabab ka rang rang badlega phir zamane ka teri aankhon ki ho na ho taqsir nam ruswa sharab-khane ka rah gae ban ke hum sarapa gham ye natija hai dil lagane ka jis ka har lafz hai sarapa gham main hun unwan us fasane ka us ki badli hui nazar tauba yun badalta hai rukh zamane ka dekhte hain hamein wo chhup chhup kar parda rah jae munh chhupane ka kar diya khugar-e-sitam 'akhtar' hum pe ehsan hai zamane ka