sar par sat aakash zamin par sat samundar bikhre hain aankhen chhoti pad jati hain itne manzar bikhre hain zinda rahna khel nahin hai is aabaad kharabe mein wo bhi aksar tut gaya hai hum bhi aksar bikhre hain us basti ke logon se jab baaten kin to ye jaana duniya bhar ko jodne wale andar andar bikhre hain in raaton se apna rishta jaane kaisa rishta hai ninden kamron mein jagi hain khwab chhaton par bikhre hain aangan ke masum shajar ne ek kahani likkhi hai itne phal shakhon pe nahin the jitne patthar bikhre hain sari dharti sare mausam ek hi jaise lagte hain aankhon aankhon qaid hue the manzar manzar bikhre hain