wade yakh-basta kamron ke andar girte hain mere sehn mein jhulse hue kabutar girte hain kahte hain in shakhon par phal phul bhi aate the ab to patte jhadte hain ya patthar girte hain khun ke ye dhaare hum ne pahli bar nahin dekhe lekin ab in dariyaon mein samundar girte hain sun lete hain sargoshi ko chup mein dhalte hue chun lete hain tir jo apne barabar girte hain zikr hamara hone laga ab aisa misalon mein dariyaon ke rukh pe bane ghar aksar girte hain jaane kaise zalzale in aankhon mein aan base parda uthne lagta hai to manzar girte hain