wafa hoti nahin hai bewafai ho nahin sakti kuchh aisi qaid hai jis se rihai ho nahin sakti faqat ji hi nahin jaan ka ziyan bhi ‘ain-mumkin hai ye kar-e-‘ishq hai is mein kamai ho nahin sakti kabhi khud se kabhi diwar-o-dar se guftugu thahri tumhaare samne to lab-kushai ho nahin sakti dil-e-shorida-sar ke sath chalte hain murawwat mein purana yar hai be-e'tinai ho nahin sakti tamasha kya dikhaen hum tujhe mismar jazbon ka ki shahr-e-dil hai aur is mein khudai ho nahin sakti 'munir' ek 'umr jis ke nam ko wird-e-zaban rakkha ab us be-mehr ki hum se burai ho nahin sakti