wafur-e-ishtiyaq mein zaban se kya nikal gaya phir us ke ba'd bazm ka mizaj hi badal gaya idhar-udhar ke log to karenge us ki parwarish zara sa koi khauf bhi agar dilon mein pal gaya hamari raat jagmaga rahi hai aab-o-tab se zamin ka chand aasman ke chand ko nigal gaya makan se makan to hue hain muttasil magar khulus jis ka nam tha wo shahr se nikal gaya ye bhed pure shahr ko diya hai main ne is liye ki hote hote baat ka pata use bhi chal gaya na-jaane us ghadi thi kya dil-o-nazar ki kaifiyat chhua jo main ne phul ko to mera hath jal gaya