wafa jab zinda hoti hai jafa dam tod deti hai sitamgar ki har ek zalim ada dam tod deti hai takabbur ki fasilon se kabhi hum ruk nahin sakte ki bach ke ru-ba-ru jhuti ana dam tod deti hai agar mazlum takraate hain diwar-e-mazalim se to gir jata hai zindan aur sira dam tod deti hai subut-e-be-gunahi kyun na ho meri gunahgari ata karta hai jab koi khata dam tod deti hai chaman ki aabiyari khun se karti raho 'mani' chaman ke khushk hone se saba dam tod deti hai