aalam-e-soz-e-tamanna be-karan karte chalo zarre zarre ko sharik-e-karwan karte chalo kitne raushan hain wo aariz kitne shirin hain wo lab rasta kat jaega zikr-e-butan karte chalo sham-e-gham ki zulmaten hain aur sahra-e-hayat dida-e-bedar ko anjum-fishan karte chalo raste mein bujh na jaen aarzuon ke charagh zikr-e-manzil karwan-dar-karwan karte chalo jaane kis aalam mein aaen aane wale qafile saya-e-diwar-e-jaanan jawedan karte chalo mazhar-e-tahzib hai ek ek tar-e-pairahan bas yunhi andaza-e-sud-o-ziyan karte chalo