wafa ke dawon pe hans raha tha mujhe naya hijr ho gaya tha bahut hi bad-shakl nikli duniya main pahle parde pe dekhta tha use batata tha meri baaten khuda meri kal sun raha tha samajh mein kya aata mera lahja kisi ki baaton mein aa gaya tha utar phenki thi sham sar se abhi to para nahin chadha tha tum aaj tak ro rahe ho jo gham wo do dinon se ziyaada ka tha gharib bewa ka hath thama madine jaane ka rasta tha aur us ki haryanwi zaban thi aur us ke hathon mein ek ghada tha ye jumla jo pahle kah diya hai ye wasl ke ain baad ka tha