lab pe kanton ke hai fariyaad-o-buka mere baad koi aaya hi nahin aabla-pa mere baad mere dam tak hi raha rabt-e-nasim o rukh-e-gul nikhat-amez nahin mauj-e-saba mere baad ab na wo rang-e-jabin hai na bahaar-e-ariz lala-ruyon ka ajab haal hua mere baad chand sukhe hue patte hain chaman mein raqsan hae beganagi-e-ab-o-hawa mere baad munh dhulati nahin ghunchon ka urus-e-shabnam gard-alud hai kaliyon ki qaba mere baad aadmiyyat-shikni bhi to nahin kam 'anwar' dar hai kuchh aur na ho is ke siwa mere baad