wafa ke hain khwan par niwale ze-aab awwal doam ba-atish bhare hai saqi yahan pyale ze-ab awwal doam ba-atish chaman mein josh-e-junun ke hain ashk aur dagh-e-darun se apne karun shagufta gul aur lale ze-ab awwal doam ba-atish hamare ashk aur aah ki maujen bandh deti hain sab jo duri bane hain mah-e-falak pe haale ze-ab awwal doam ba-atish jahan ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un mein kuchh na lazzat do roz chhati yahan pakale ze-ab awwal doam ba-atish do hukm hain shah-e-ishq ke in mein ek galna hai ek jalna hain daftar-e-dard mein qabaale ze-ab awwal doam ba-atish na khol waiz kitab-e-danish ki aatish-e-ishq o aab-e-mai se dhoun jalaun tere risale ze-ab awwal doam ba-atish sitam hai aafat hai mahr ya kin bala ye ishq-e-satiza-gar ki dilon ke khane ujad dale ze-ab awwal doam ba-atish pade hain hum khun-e-dil mein ghaltan jigar hai dagh-e-jafa se sozan koi hai apne tain sambhaale ze-ab awwal doam ba-atish visal ki justuju mein 'hasrat' chala na zari na zor ka kuchh bahut se yan hum ne dhab nikale ze-ab awwal doam ba-atish