wafa-kesh-o-wafa-na-ashna kya mohabbat mein balaon ka gila kya yahi do ek naghme wo bhi be-saut shikasta-saz hun meri sada kya na dekhen wo hamare dil ki mayyat dil-e-marhum ka ab khun-baha kya adawat bijliyon ki mol le li chaman mein do-ghadi ko main hansa kya ye aql-o-agahi ke kham dawe kabhi socha bhi ye tu ne ki tha kya faqat ek zer-e-lab mubham tabassum hamari aarzu kya muddaa kya wafaen ain iman-e-mohabbat mohabbat mein wafaon ka sila kya shanawar ke liye girdab sahil gham-e-be-chaargi-e-nakhuda kya tera partaw hai jis ko husn kah den muqabil ho tere hai dusra kya mohabbat ki ye wo manzil hai jis mein dawa-e-dard-o-dard-e-la-dawa kya zamane-bhar ne nazren pher li hain hue ho tum bas ek hum se khafa kya mujhe sari khudai mil gai hai diya hai tum ne dard-e-la-dawa kya jo sar-masti hai in aankhon mein pinhan 'jalil' is dukht-e-raz mein wo maza kya