wafa ki aag mein pahle pighal ke dekho to

wafa ki aag mein pahle pighal ke dekho to
hai ishq kya ye samajh loge jal ke dekho to

wo sang-e-rah nahin koh-e-nur hira hai
nazar ke zawiye apni badal ke dekho to

sukun-e-dil ka khazana zarur paoge
hawas ke nag ko pahle kuchal ke dekho to

har ek aankh ka aansu tumhaara apna hai
hisar-e-zat se bahar nikal ke dekho to

tawangaron ki ziyafat ko jaan jaoge
zara ye qimti kapde badal ke dekho to

hai haq ka rasta kya khud-bakhud samajh loge
dahakti aag pe do gam chal ke dekho to

khud apni asl haqiqat ko jaan loge 'wafa'
tum aaine ko kabhi aankh mal ke dekho to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close