ye zist ranj mein guzre ki shadman guzre tere baghair jo guzre to raegan guzre ba-qaid-e-hosh jo guzre ba-qaid-e-jaan guzre wo kya maqam-e-mohabbat se kaamran guzre nazar ko apni basarat bhi jab giran guzre khuda kare na phir aankhon se wo saman guzre dayar-e-shauq se jab bahr-e-imtihan guzre hum apni jaan se guzre to kaamran guzre qadam qadam pe khirad sadd-e-rah thi lekin junun-e-shauq salamat rawan-dawan guzre ye mai-kada wo jagah hai jahan se ai saqi nazar churae hue gardish-e-jahan guzre chaman-parast hun mujh ko chaman se ulfat hai bala se us mein bahaar aae ya khizan guzre tera karam hai jo saya-fagan to kya gham hai hazar bar mere sar se aasman guzre kisi ka faiz 'mubarak' nahin to phir kya hai ki hum jahan se bhi guzre hain kaamran guzre