wafa ki khair manata hun bewafai mein bhi main us ki qaid mein hun qaid se rihai mein bhi lahu ki aag mein jal-bujh gae badan to khula rasai mein bhi khasara hai na-rasai mein bhi badalte rahte hain mausam guzarta rahta hai waqt magar ye dil ki wahin ka wahin judai mein bhi lihaz-e-hurmat-e-paiman na pas-e-ham-khwabi ajab tarah ke tasadum the aashnai mein bhi main das baras se kisi khwab ke azab mein hun wahi azab dar aaya hai is dahai mein bhi tasadum-e-dil-o-duniya mein dil ki haar ke baad hijab aane laga hai ghazal-sarai mein bhi main ja raha hun ab us ki taraf usi ki taraf jo mere sath tha meri shikasta-pai mein bhi