mushkil hai ki ab shahr mein nikle koi ghar se dastar pe baat aa gai hoti hui sar se barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par ek umr mere khet the jis abr ko tarse kal raat jo indhan ke liye kat ke gira hai chidiyon ko bada pyar tha us budhe shajar se mehnat meri aandhi se to mansub nahin thi rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se khud apne se milne ka to yara na tha mujh mein main bhid mein gum ho gai tanhai ke dar se be-nam masafat hi muqaddar hai to kya gham manzil ka tayyun kabhi hota hai safar se pathraya hai dil yun ki koi ism padha jae ye shahr nikalta nahin jadu ke asar se nikle hain to raste mein kahin sham bhi hogi suraj bhi magar aaega is rahguzar se