wafa sarisht hai meri kaha na karta tha ye faisla mere haq mein hua na karta tha bahut dinon se mere ghar pe roz aata hai bulate rahte the jis ko suna na karta tha yaqin nahin hai ki majbur ho gaya wo bhi khuda-parast tha aisa dua na karta tha hazar aankhon pe khwabon ne dastaken di thin magar wo haal tha dil ka khula na karta tha bahut kamal the us mein aur ek ye bhi tha ki ek maqam se aage wafa na karta tha