wo gham meri palkon se numayan bhi nahin hai

wo gham meri palkon se numayan bhi nahin hai
yun jashn hua hai ki charaghan bhi nahin hai

patthar bhi koi marne wala nahin milta
aaina kisi aks se hairan bhi nahin hai

ek josh-e-talab hai ki use dhund raha hun
mil jaega wo shakhs ye imkan bhi nahin hai

shahron se huin ishq ki be-tabiyan rukhsat
diwangi-e-dil ko bayaban bhi nahin hai

laut aaega ek roz yahi khwab mein apne
yun us se ba-zahir koi paiman bhi nahin hai

aankhon mein bahut roz se aansu nahin aae
dariya ka mere dasht mein imkan bhi nahin hai

mat dekh mere chehre pe is hijr ka manzar
nazzara teri aankh ke shayan bhi nahin hai

le jaengi manzil pe usi dost ki aankhen
raste mein musafir ke charaghan bhi nahin hai

ek dard-e-tamanna ko liye phirta hun 'adil'
is sachchi kahani ka to unwan bhi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close