wafa-shiaron ne ki hain mohabbaten kya kya hain un ke nam se yaro riwayaten kya kya hum ahl-e-dard jalate rahe saron ke charagh hain shahr-e-shab mein hamari hikayaten kya kya ye iztirab ye nale ye sozish-e-paiham hain un ki dekhiye hum par inayaten kya kya suno ki aaj bhi hain zehn ke ajanta mein mere 'nadim' munaqqash wo suraten kya kya tujhe bahaar kahun gul kahun ki chand kahun hain tere husn mein pyare shabahaten kya kya na chhed bite zamane ke saz ai mutrib hain us ki yaad se wabasta sohbaten kya kiya ba-nam-e-sabza-khatan mahwishan khutut-o-payam mere khilaf wo lae shahadaten kya kya