wafadar ho ya jafa-kar tum ho jo kuchh ho so ho par mere yar tum ho ujado mere dil ko ya phir basao meri jaan is ghar ke mukhtar tum ho juda sab se ho aur sab se mile ho gharaz kya kahun ek ayyar tum ho khuda jaaniye dil pe kya guzre aakhir ye ahl-e-wafa hai sitamgar tum ho bane is tabiat se kyunkar kisi ki zara ji mein munsif to dildar tum ho khafa hote hain hum to khush hote ho tum jo khush hote hum hain to bezar tum ho nahin be-sabab ye 'hasan' sard aahen kahin in dinon mein giraftar tum ho