wafaen us ke dar par dhundhta hun main sahra mein samundar dhundhta hun na hon jis mein juda patte shajar se koi aisa december dhundhta hun wo mere pas hai jaane kahan hai main us ko sath le kar dhundhta hun ho jis ka fe’l us ke qaul jaisa main ek aisa sukhanwar dhundhta hun mere andar andhera hai bala ka koi khurshid-paikar dhundhta hun khada rahta hun aaine ke aage main apna aap aksar dhundhta hun furaat-e-ashk aankhon mein saja kar lab-e-dariya bahattar dhundhta hun talash us ki ne pagal kar diya hai wo andar hai main bahar dhundhta hun musalsal qatl hota hun main 'sagar' kabhi bazu kabhi sar dhundhta hun