wafaon ka apni sila chahta hun fana ho ke rang-e-baqa chahta hun sabab be-qarari ka meri yahi hai ki main hasil-e-muddaa chahta hun chhupaun main kis tarah raaz-e-mohabbat nigahon se zahir hai kya chahta hun mohabbat ki mai ho ki ho zahr-e-ulfat sukun jis se ho wo dawa chahta hun sanbhaal aa ke ai na-khuda-e-mohabbat wagarna main ab dubna chahta hun 'riyaz' un ke munh se jo pahle suna tha wahi muzhda-e-jaan-faza chahta hun