aae na lab pe harf-e-shikayat khuda kare phule phale hamari mohabbat khuda kare hai aarzu ki ho na mayassar shifa mujhe aate rahen wo bahr-e-ayaadat khuda kare sab kuchh ye raunaqen hain unhi ke qudum ki har ek ko ho nasib ziyarat khuda kare wo aa gae hain jazba-e-lutf-o-karam ke sath ho jae mera khwab haqiqat khuda kare saqi ne aaj farq-e-maraatib mita diya jage sharab-khane ki qismat khuda kare ifraat-e-mal-o-zar to hai 'qasid' wabaal-e-jaan hath aae mujh ko hasb-e-zarurat khuda kare