wahan bhi zahr-zaban kaam kar gaya hoga ki aadmi tha wo baaton se dar gaya hoga thi main bhi us pe hansi mil ke is jahan ke sath ye sun ke sharm se shayad wo mar gaya hoga hazar bar suna phir bhi dil nahin mana ki mere pyar se dil us ka bhar gaya hoga nae makin hain ab wan use khabar kab thi bade khulus se wo mere ghar gaya hoga koi daricha khula rah gaya tha aandhi mein mera wajud yaqinan bikhar gaya hoga wo jaanta to hai mahfil ke bhi sabhi aadab jo dekh kar nahin uttha to dar gaya hoga na ho jo sath pe halchal to is se ye na samajh chadha hua tha jo dariya utar gaya hoga