wo to aaina-numa tha mujh ko kis liye us se gila tha mujh ko de gaya umr ki tanhai mujhe ek mahfil mein mila tha mujh ko ta mujhe chhod sako patjhad mein is liye phul kaha tha mujh ko tum ho markaz meri tahriron ka tum ne ek khat mein likha tha mujh ko main bhi karti thi bahaaron ki talash ek sauda sa hua tha mujh ko ab pashiman hain duniya wale khud hi maslub kiya tha mujh ko ab dhadakta hai magar surat-e-dil zakhm ek tum ne diya tha mujh ko