wahan shayad koi baitha hua hai abhi khidki mein ek jalta diya hai mera dil bhi ajab khali wiya hai kisi ki yaad ne jis ko bhara hai parinde shakh se lipte hue hain ye kaisa khauf khema-zan hua hai meri khamoshiyon ki jhil mein phir kisi aawaz ka patthar gira hai mohabbat ka muqaddar dekhte ho hawa ne kuchh to pani par likha hai usi par khul rahe hain sare mausam jo apne ghar se bahar aa gaya hai charagho ab zara apni sunao hawa ka kaam pura ho chuka hai mohabbat phir wahin le aai 'adil' ye jangal bar-ha dekha hua hai