bula raha hai mujhe aasman tumhaari taraf

bula raha hai mujhe aasman tumhaari taraf
jala ke nikla hun sab aashiyan tumhaari taraf

main jaanta hun ki sare jahan hain khatm yahan
mujhe milega na koi jahan tumhaari taraf

khamoshiyon ka bas ek silsila hai dur talak
na koi lafz na koi zaban tumhaari taraf

har ek jita hai wusat mein kaenaton ke
koi banata nahin hai makan tumhaari taraf

mare houn ko koi mare kis tarah aakhir
na koi tir na koi sinan tumhaari taraf

na koi dariya na parbat na aashiyan na shajar
zamin hai koi na hi aasman tumhaari taraf

zuhur-e-ishq ki duniya ko chhod aaya hun
main khud ko karta hun sab se nihan tumhaari taraf

main manzilon se bahut dur aa gaya 'mamun'
safar ne kho diye sare nishan tumhaari taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close