wahi aati wahi jati wahi rukti wahi baDhti

wahi aati wahi jati wahi rukti wahi badhti
usi se dosti hoti usi se dushmani badhti

mujhe jaane diya hota to tum itni nahin bujhtin
meri raftar badhti aur tumhaari raushni badhti

main koi rasta thodi tha manzil tha mohabbat ki
agar pahli nazar-andaz karti dusri badhti

gale par neza rakh kar sar jhukane ko kaha us ne
main mar jata agar us waqt mujh mein aajizi badhti

mere ajdad ka wahshi qabile se talluq tha
teri wahshat bhi badhti aur teri aulad bhi badhti

taqarrub se tajassus khatm ho jata hai chizon mein
agar hum dur hote to mohabbat waqai badhti

jo badhti hai use aage nahin badhne diya jata
jo hatti hai use kahte hain tu to lazmi badhti

hawa se bhi ziyaada tez thi raftar-e-uryani
magar phir bhi meri khwahish thi teri odhni badhti

koi mujh tak pahunch jata to main tujh tak pahunch jata
kisi ki zindagi ghatti kisi ki zindagi badhti

koi sahra nahin tha main jahan tufan aa jata
koi jangal nahin tha main jahan chingari hi badhti

machhere ki mohabbat jal bunwati hai machhli se
tera bas chalne dete to hamari bebasi badhti

taqqul mard mein hota hai aur jazbaat aurat mein
mere jaisa koi rukta tere jaisi koi badhti

sahaara milta hai kamzor ko shatir ki jaanib se
main zakhmi hota to meri taraf bhi lomdi badhti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close