wahi arman jaise ji jo mushkil se nikalte hain ba-shakl-e-ashk-o-fariyaad-o-fughan dil se nikalte hain kisi mein hausla hota hai tufanon se ladne ka safine yun to sab daman-e-sahil se nikalte hain hamare ham-safar hum se mukaddar hain bas itne par ki hum bach kar ghubar-e-rah-e-manzil se nikalte hain ghazab hai ai zamin to un hasinon ko nigal jae jo husn-e-zau-fishan mein mah-e-kaamil se nikalte hain bharosa kuchh nahin 'mahrum' anwar-masarrat ka sharare bhi kabhi taron ki mahfil se nikalte hain