wahi azab wahi aasra bhi jine ka wo mera dil hi nahin zakhm bhi hai sine ka main be-libas hi shishe ke ghar mein rahta hun mujhe bhi shauq hai apni tarah se jine ka wo dekh chand ki pur-nur kahkashaon mein tamam rang hai khurshid ke pasine ka main pur-khulus hun phagun ki dopahar ki tarah tera mizaj lage pus ke mahine ka samundaron ke safar mein sambhaal kar rakhna kisi kuen se jo pani mila hai pine ka 'mayank' aankh mein sailab uth na pae kabhi ki ek ashk musafir hai is safine ka