nikal gae the jo sahra mein apne itni dur wo log kaun se suraj mein jal rahe honge adam ki nind mein soe hue kahan hain wo ab jo kal wajud ki aankhon ko mal rahe honge mile na hum ko jawab apne jin sawalon ke kisi zamane mein un ke bhi hal rahe honge bas is khayal se dekha tamam logon ko jo aaj aise hain kaise wo kal rahe honge phir ibtida ki taraf hoga intiha ka rukh hum ek din yahan shaklen badal rahe honge 'malal' aise kai log honge raste mein jo tum se tez ya aahista chal rahe honge