wahi be KHanuman taqdir Thahre

wahi be khanuman taqdir thahre
makin ho kar bhi jo rah-gir thahre

pareshan hai bahut is dard se dil
hawa thahre to kuchh tadbir thahre

zara kuchh kam ho raftar-e-talluq
zara kuchh der ye zanjir thahre

ayan hota hai uryani ka pahlu
zara shakh-e-gul-e-injir thahre

dam-e-shamshir jab bahar hua hai
ye bazu sina-e-shamshir thahre

kabhi takhir thahre koi ujlat
koi ujlat kabhi takhir thahre

musawwir ne lagai hai ajab shart
koi zinda hai to taswir thahre

main darwaze se aage badh chuka tha
sada aai mera dil-gir thahre

agar main kar sakun ijad bhi kuchh
agar ijad bhi taqsir thahre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close