waqia dasht-nawardi hua aasan mujh tak bin-bulae chala aata hai bayaban mujh tak kunj-e-aghosh-e-junun tangi-e-furqat se farar ek suhulat se khinche daman-e-paiman mujh tak rauzan-e-hijr sukut-e-shab-e-wahshat mein khula jalwa-e-nur hua nala-e-mizhgan mujh tak thi jise shohrat-e-asbab-e-kushada ki talash aa ke mashhur hua be-sar-o-saman mujh tak rang-e-aina rag-e-sang se nikla goya girya-e-chashm hua girya-e-marjaan mujh tak khush-libasi faqat andoh-e-basarat ka fareb chal ke aata hai har ek saya-e-uryan mujh tak ek diya roz jalata hai koi aakhir-e-shab ek kiran roz pahunchti hai pareshan mujh tak