wahi chitwan ki khun-khwari jo aage thi so ab bhi hai teri aankhon ki bimari jo aage thi so ab bhi hai wahi nashw-o-numa-e-sabza hai gor-e-ghariban par hawa-e-charkh-e-zangari jo aage thi so ab bhi hai talluq hai wahi ta-haal un zulfon ke saude se salasil ki giraftari jo aage thi so ab bhi hai wahi sar ka patakna hai wahi rona hai din bhar ka wahi raaton ki bedari jo aage thi so ab bhi hai riwaj-e-ishq ke aain wahi hain kishwar-e-dil mein rah-o-rasm-e-wafa jari jo aage thi so ab bhi hai wahi ji ka jalana hai pakana hai wahi dil ka wo us ki garm-bazari jo aage thi so ab bhi hai niyaz-e-khadimana hai wahi fazl-e-ilahi se buton ki naz-bardari jo aage thi so ab bhi hai firaq-e-yar mein jis tarah se marta tha marta hun wo ruh o tan ki be-zari jo aage thi so ab bhi hai wahi sauda-e-kakul ka hai aalam jo ki sabiq tha ye shab bimar par bhaari jo aage thi so ab bhi hai junun ki garm-joshi hai wahi diwanon se apni wahi daghon ki gul-kari jo aage thi so ab bhi hai wahi bazar-e-garmi hai mohabbat ki hanuz 'atish' wo yusuf ki kharidari jo aage thi so ab bhi hai