wahshat-e-dil ne kiya hai wo bayaban paida saikdon kos nahin surat-e-insan paida sahar-e-wasl karegi shab-e-hijran paida sulb-e-kafir hi se hota hai musalman paida dil ke aaine mein kar jauhar-e-pinhan paida dar-o-diwar se ho surat-e-jaanan paida khar daman se ulajhte hain bahaar aai hai chaak karne ko kiya gul ne gareban paida nisbat us dast-e-nigarin se nahin kuchh is ko ye kalai to kare panja-e-marjaan paida nashsha-e-mai mein khuli dushmani-e-dost mujhe aab-e-angur ne ki aatish-e-pinhan paida bagh sunsan na kar in ko pakad kar sayyaad baad muddat hue hain murgh-e-khush-ilhan paida ab qadam se hai mere khana-e-zanjir aabaad mujh ko wahshat ne kiya silsila-jumban paida ro ke aankhon se nikalun mein bukhar-e-dil ko kar chuke abr-e-mizha bhi kahin baran paida nara-zan kunj-e-shahidan mein ho bulbul ki tarah aab-e-ahan ne kiya hai ye gulistan paida naqsh un ka na kisi lal se lab par baitha mere munh mein hue the kis liye dandan paida khauf na-fahmi-e-mardum se mujhe aata hai gaw khar hone lage surat-e-insan paida ruh ki tarah se dakhil ho jo diwana hai jism-e-khaki samajh is ko jo ho zindan paida be-hijabon ka magar shahr hai aqlim-e-adam dekhta hun jise hota hai wo uryan paida ek gul aisa nahin howe na khizan jis ki bahaar kaun se waqt hua tha ye gulistan paida mojid us ki hai siyah-rozi hamari 'atish' hum na hone to na hoti shab-e-hijran paida