wahi daricha-e-jaan hai wahi gali yaro magar nigah irada badal chuki yaro kitab-e-haal ka koi waraq nahin palta kitab-e-ahd-e-guzishta bhi kab padhi yaro hum apne zehn ki almariyon mein dhundenge wo ek sal wo ek mah wo ghadi yaro is ek mod pe tanha hamin akele hain ki pichhle mod pe duniya bhi sath thi yaro khuda ka shukr ki sab khairiyat se hai yani mere wajud mein halchal hai aaj bhi yaro ye aur baat ki un ko yaqin nahin aaya pa koi baat to barson mein hum ne ki yaro