charagh ki ot mein ruka hai jo ek hayula sa yasmin ka ye rang hai aur aasman ka ye phul hai aur hi zamin ka mere irade pe munhasir hai ye dhup aur chhanw ka thaharna ki ek saat kisi guman ki hai ek lamha kisi yaqin ka mujhe yaqin hai zamin apne madar par ghumti rahegi ki ab sitaron ke paniyon mein bhi aks hai khak ke makin ka main jin ke ham-rah chal raha hun wo sab isi khak ki numu hain magar jo mere wajud mein hai wo khwab hai aur hi kahin ka jo mere khun mein bhadak rahi hai wo mishal-e-khwab hai kahan ki jo meri aankhon mein bas gaya hai wo chand hai kaun si jabin ka main raat ke ghat par utar kar kisi sitare mein dub jata magar mere ru-ba-ru dhara hai ye aaina subh-e-nilmin ka so ab ye jiwan ki naw shayad kisi kinare se ja lagegi ki ab to pani ki sath par bhi guman hone laga zamin ka