wahi dilon ko shikast karna wahi sawal-o-jawab karna

wahi dilon ko shikast karna wahi sawal-o-jawab karna
kahan se sikha hai tu ne naseh qadam qadam ehtisab karna

wo apne moti baras baras kar na is tarah raegan karegi
kabhi na us chashm-e-nilgun se umid misl-e-sahab karna

jahan bhi mil jae dekh lena wahi hai jaan-e-wafa ki surat
wahi nigahen jhukae rakhna haya se chehra gulab karna

bahaar-e-khun-e-jigar pila kar jinhonne tujh ko shabab bakhsha
ye kya ghazab hai ki fasl-e-gul mein unhin ko khana-kharab karna

ye farz saunpa hai baghbanon ko raat sayyaad ne chaman ke
ki loriyan de ke kal anadil ko aur bhi mahw-e-khwab karna

kabhi ye socha bhi mere yaro ki is mein aakhir hai faeda kya
jo chand lamhe hain zindagi ke unhin ko nazr-e-azab karna

kisi tarah bhi na aane pae koi jhalak shairi mein 'azhar'
har ek ghazal khwah apne dil mein usi ke nam intisab karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close