raushan na hui thi subh abhi munh khol rahi hai sham kahin aaghaz na hone paya tha aur hone laga anjam kahin is duniya mein kya milna hai bas armanon ke khun ke siwa ai khwab-e-hasin tere chalte ho jaen na hum badnam kahin manind-e-saba aawara hum phirte hi rahe shahron shahron ramta jogi bahta pani hai subh kahin to sham kahin is waqt to khush aate hain nazar kuchh sada-lauh anadil bhi dekho to na phir phailaya ho sayyaad ne koi dam kahin sayyaad se gar ladna hai tujhe shahin ka jigar paida kar le bulbul jaise nazuk dil se hota hai jari iqdam kahin kuchh zist ka gham kuchh millat ka maghmum rahe har dam 'azhar' hassas tabiat walon ko milta hai bhala aaram kahin