wahi gham hai wahi iza risani agarche ab nahin aankhon mein pani jo bazari hain hakim ban gae hain wo hain mahkum jo hain khandani kabhi aisa karo kuchh kar dikhao kahan tak aur kab tak lan-tarani dikhaega miyan aankhen zamana agar qaem rahegi be-zabani sahaara do jahan mein bekason ko purani ho gai hai ye kahani mohabbat par hai aalam jaan-kani ka adawat mein hai bijli si rawani