kya hua kab kahan nahin malum kitne ujde makan nahin malum mujh se gulshan mein baghban itna kyun hua bad-guman nahin malum dil bhi ghaeb hai aaj pahlu se jaane hoga kahan nahin malum wo sitam-gar bhi haal par mere kab hua mehrban nahin malum mujh ko josh-e-junun ne a 'ahmad' la ke chhoda kahan nahin malum