wahi hai gul mein wahi sang-o-khisht-o-khar mein hai wahi khizan mein wahi mausam-e-bahaar mein hai hazar rang ki surat koi dikhae to kya meri nazar mein samaya wahi hazar mein hai main wo hun aur wo main ek qalib aur ek jaan baghal mein us ke hun main wo mere kanar mein hai bure bhale se kisi ke gharaz nahin 'be-gun' hamara jism hai yan jaan ku-e-yar mein hai